सोमवार, मई 04, 2009

Yaad hai mujh ko

Chandni ne us din jab chupke se tujhe chua tha,
tu kaise sharma ke simat gayi thee yaad hai mujh ko.

office mein jab kaam nahin tha bahar khali baithe the,
oss ki boondon ko mujh pe chitakna yaad hai mujh ko.

tere gesuon ki wo narm narm thandak bhari chaaon,
mere udas chehre pe fira dena yaad hai mujh ko.

meri khushi mein uchalna, mujhe yun aaghosh mein bharna,
ashkon se meri shirt bhigona yaad hai mujh ko.

Shopping ke liye subhe se Sarojini Nagar mein ghoomna,
Choti Diwali ka wo din ab bhi yaad hai mujh ko.

chaat ke liye wo zid tumhari, pal bhar ko mera rooth jaana,
dhamaake ka wo shor ab bhi yaad hai mujh ko.

--Neeraj

1 टिप्पणी:

  1. ohoooo main kai bar tumhara blog padh chuki hoon ye kaise chood di maine :)

    shoping ke liye subhe se Sarojni nagar main ghoomna ,choti divali ka vo din ab bhi yaad hai mujhko ....
    ye to khafi acchi acchi hi nahi sachhi sachhi bhi lag rahi hai :)
    tooooooooooo good.or shirt ka aansoouo se bheegna to sidhe dil me utar gaya .......aweeeeesom !!

    जवाब देंहटाएं

आपके विचार एवं सुझाव मेरे लिए बहुत महत्वपूर्ण हैं तो कृपया अपने विचार एवं सुझाव अवश दें. अपना कीमती समय निकाल कर मेरी कृति पढने के लिए बहुत बहुत शुक्रिया.